top of page

HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Bukhari Sharif > Bab 2 >Hadees No. 8 :
Hazrat Abdullah Bin Umar (rd) Se Rivayat Hai
Rasulallah (s.a.w) ne Farmaya Islam Ki Buniyad 5 Chizon par Hai
1) Avval Ghavahi Dena Ke Allah Ke Siva Koi Ma'bood Nahi.
Aur Be-Shak Hazrat Muhammad (s.a.w) Allah Ke Sacche Rasool Hai.
2) Aur Namaz Qayam Karna .
3) Aur Zakat Dena .
4) Aur Hajj Karna .
5) Aur Ramzan Ke Roze Rakhna .
Sahih Bukhari > Bab 2 >Hadees No 9
Abu Huraira (rd) Se Rivayat Hai ,
Nabi-e-Karim (s.a.w) Ne Farmaya :
" Ke Imaan Ki Saath (60) Se Upar Kuchh Sakhe Hai . Aur Haya (Sharm) Bhi Imaan Ki
Ek Shakh Hai ."
Amroo Bin Aa's (rd) Se Rivayat Hai
Nabi-e-Karim (s.a.w) Ne Farmaya ::
"Musalman Voh Hai Jiski Zaban Aur Hath Se Musalman Bache Rahe , Aur Muhajir Voh Hai Jo Un Kamo Ko Chhod De Jin Se Allah Ne Mana Farmaya ."
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 10
bottom of page