
HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Hadees No.7
Imam Zohri ne farmaya Muje Abdullah bin Abdullah bin Utba bin
Masood (rd) ne khabar di ke Abdullah ibne Abbas(rd) se Abu Sufiyan
bin Harab ne ye vakiya bayan kiya ke
Harkal ( shah room ) ne inke pas quresh ke kafile me ek aadmi bulane ko
bheja aur us waqt ye log tijarat ke liye mulke sham gae hue the , Aur ye vo
zamana tha jab Rasulallah (s.a.v) ne Abu sufiyan aur quraish se ek vakti
ahad kiya hua tha . Jab Abu sufiyan aur dusre log Hakul ke pas Aeliya
pohanche , jaha Harkul ne darbar talab kiya hua tha . Uske ird gird room
ke bade bade log bethe hue the . Harkul ne unko aur apne tarjuman ko
bulaya , Fir unse puchha "Tum me se kon shakhs Muddai Risalat ka zyada
karibi aziz hai ? "
Abu sufiyan farmate hai me bol utha " Me uska sabse ziyada karibi
rishtedar hu . " Ye sun kar Harkul ne hukm diya ke " isko (Abu sufiyan )
ko mere karib la kar bithao aur iske sathiyo ko iske pith ke pichhe bithado "
Fir apne Tarjuman se kaha ke in logo se keh do ke me Abu sufiyan se is
shakhs( Rasulallah (s.a.v)) ke halat puchhta hu . Agar ye mujse kisi baat
me juth bolde to tum iska juth zahir kar dena . "
( Abu Sufiyan ka kaul hai ) Allah ki kasam ! Agar muje ye gairat n aati ke
ye log muje juthlaenge to me aap (s.a.v) ki nisbat jarur galat goi se kam
leta .
Kher pehli baat jo Harkul ne muje puchhi vo ye ke " is shakhs ka khandan
tum me kesa hai ? "
Me ne kaha " Vo to bade unche aali nasab vale hai ."
Kehne laga " Is se pehle bhi kisine tum logo me esi baat kahi thi . "
Mene kaha " Nahi "
Kehne laga " Achha ! iske bado me koi badshah hua hai ? "
Mene kaha " Nahi "
Fir usne kaha " Bade logo ne iski pervi ikhtiyar ki hai ya kamzor logo ne "
Mene kaha " Nahi kamzoro ne "
Kehne laga " Iske tabedar roz badte jate hai ya koi sathi fir bhi jata hai ? "
Mene kaha " Nahi "
Kya kabhi isne apne dava(-e-nbuvat) se pehle (kabhi kisi moke par ) isne
juth bola hai "
Mene kaha " Nahi . Aur ab hamare is se (sulah ki) ek muddat thehri hui
hai , malum nahi vo isme kya karne vala hai "
(Abu sufiyan farmate hai) Mai is baat ke ilava aur koi (jhuth) is guftagu me
shamil n kar saka .
Harkul ne kaha " Kya tumhari is se kabhi ladai bhi hoti hai ? "
Me ne kaha " Ha "
Bola " Fir Tumhari aur iski jang ka kya hal hota hai ? "
Me ne kaha " Ladai dol ki tarha hai kabhi vo hamse jit lete hai kabhi ham
unse jit lete hai ".
Harkul ne puchha " vo tumhe kis bat ka hukm deta hai ? "
Me ne kaha " Vo kehta hai ke sirf ek Allah ki ibadat karo , aur iska kisi ko
sharik n banao , aur apne baap dada ki (shirk ki) bate chhod do . Aur hame
Namaz padne , sach bolne , parhez gari aur sulah rehmi ka hukm deta hai"
(Ye sab sun kar )
Harkul ne apne Tarjuman se kaha " Abu sufiyan se keh de mene tumse iska
nasab puchha to tumne kaha vo ham me ali nasab hai , Aur paygamber
apni kaum me ali nasab hi bheje jaya karte hai , Mene tumse puchha ke
(Dava-e-nabuvat ) ki ye bat tumhare andar is se pehle kisi aur ne bhi kahi
thi to tum ne javab diya ke nahi , Tab mene ( Apne dilme) kaha agar ye
baat is se pehle kisi ne kahi hoti to me samajta ke is shakhs ne bhi isi bat
ki taklid ki hai jo pehle kahi ja chuki hai . Me ne tumse puchha ki iske bado
me koi badshah bhi guzra hai to tumne kaha nahi . To mene (apne dil me)
kaha ke inke buzurgo me se koi badshah hua hoga to keh dunga ke vo
shakhs (is bahane ) apne aba v ajda ki badshahat aur unka mulk vapas
hasil karna chahta hai . Aur me ne tumse puchha ke is bat kehne ( yani
pegambari ka dava karne ) se pehle tumne kabhi is ko darog goi ka ilzam
lagaya hai , Tum ne kaha ke nahi . To mene samaj liya ke jo shakhs
adamiyo ke sath darog goi se bache