
HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No 11
Abu Musa (rd) Se Rivayat Hai ,
Vo Kehte Hai Ki Logo Ne Puchha ,
"Ya Rasulallah (s.a.w) Konsa Islam Afzal Hai "
To Nabi-e-Kareem (s.a.w) Ne Farmaya
"Jiske Samne Vale Musalmano Ki Zaban Aur Hath Se Sare Musalman Salamati Mai Rahe "
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No 12
Hazrat Abdullah Bin Amroo Bin A'as (rd) Se Rivayat Hai ,
Ek Din Ek Aadmi Ne Nabi-e-Kareem (s.a.w) Se Puchha " Konsa Islam Behtar Hai "
To Farmaya " Tum Khana Khilao , Aur Jisko Pehchano Usko Bhi Aur Jisko Na Pehchano Usko Bhi , Al Garz Sab Ko Salam Karo "
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No 13
Hazrat Anas (rd) Se Rivayat Hai
Nabi-e-Kareem (s.a.w) Ne Irshad Farmaya
"Tum Me Se Koi Shakhs Imaam-Daar Na Hoga Jab Tak Apne Bhai Ke Liye Vo Na Chahe Jo Apne Nafs Ke Liye Chahata Hai "
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No 14
Hazrat Abu Huraira (rd) Se Rivayat Hai
Be-Shak Rasool-e-Kareem (s.a.w) Ne Farmaya :
" Kasam Hai Us Zaat Ki Jis Ke Hath Me Meri Jaan Hai , Tum Mai Se Koi Bhi Imaan daar Na Hoga Jab Tak Mai UskeValid Aur Aulad Se Bhi Mehboob Na Ban Jaoo ."
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No 15
Hazrat Anas (rd) Se Rivayat Hai
Rasoolallah (s.a.w) Ne Irshad Farmaya :
"Koi Shakhs Imaan-Daar Na Hoga Jab Tak Uske Vaalid Aur Uski Aulad Aur Tamam Logo Se Ziyada Uske Dil Mai Meri Mahobbat Na Ho Jae . "