
HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 59
Hazrat Abu Huraira (rd) se Rivayat hai ,
Nabi-e-Kareem (s.a.w) Logo Mai bethe hue in se baate kar rahe the , Itne mai ek dehati aap (s.a.w) ke paas aaya aur puchhne laga ke "kayamat kab aae gi ? " Aap (s.a.w) apne guftagu mai masruf rahe . Ba'z log kehne lage Aap(s.a.w) ne Dehati ki baat suni lekin pasand nahi ki , Aur ba'z kehne lage ke nahi balki Aap (s.a.w) ne is ki baat suni hi nahi .
Jab Aap (s.a.w) apni baate puri kar chuke to mai Samajta hu ke Aap (s.a.w) ne yu farmaya ,
"Vo Kayamat ke baare mai puchhne vala kaha gaya ?"
Is (dehati) ne kaha "Mai Mojud hu ."
Aap(s.a.w) ne Farmaya " Jab Amanat (Imaan Daari duniya se) Uth jaae to kayamat kayam hone ka intezar kar ."
Is ne kaha "Imaan daari uthne ka kya matlab hai ?"
Aap (s.a.w) ne Farmaya , " Jab (hukumat ke karobar) nalayak logo ko sonp diya jaae to kayamat ka intezar kar ."
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 60
Hazrat Abdullah ibne Amroo Se Rinayat hai ,
Ek Safar mai jo hamne kiya tha , Nabi-e-Kareem (s.a.w) hamse pichhe reh gaye the aur Aap (s.a.w) ham se us wakt mile jab (asr) ki namaz ka wakt aa pahoncha tha , Ham Jaldi Jaldi vuzu kar rahe the . Pas Paao ko khub dhone ke badal ham yu hi sa dho rahe the . (Ye haal dekh kar) Aap(s.a.w) ne buland aavaz se pukara
" Dekho Ediyo ki kharabi Dozakh se Hone Vali hai ."
Do ya teen baar Aap(s.a.w) ne ( yu hi buland aavaz se) farmaya .