top of page

HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 56
Hazrat Sa'd Bin Abi Wakkas (rd) se Rivayat Hai ,
Nabi-e-Kareem (s.a.w) ne Farmaya ,
" Be-shak Tu jo kuchh kharch kare aur us se teri niyyat Allah ki riza hasil karni ho to tuj ko is ka Savab mile ga . Yaha Tak ke is par bhi jo tu apni biwi ke muh mai dale. "
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 57
Hazrat Jareer Bin Abdullah (rd) ne Farmaya ,
" Maine Namaz Kayam karne aur Zakat Ada karne Aur Har Musalman ki Khair Khvahi karne par bayyat ki ."
bottom of page