
HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 51
Hazrat Abdullah ibne Abbas (rd) ne Khabar di , in ko Abu Sufiyan Bin Harb ne Ke
Harkul (Room ke Badshah) ne in se Kaha , " Mai ne Tum se Puchha tha ke is Rasool ke Man ne Vale bad rahe hai ya ghat rahe hai , Tune Javab mai bataya Bad Rahe hai . Thik hai , Imaan ka yahi hal rehta hai yaha tak ke vo pura ho jaae aur mai ne tuj se puchha tha ke koi is ke deen mai aakar fir is ko bura jaan kar fir jata hai ? Tune kaha nahi , aur imaan ka yahi haal hai . Jab is ki khushi dil mai sama jaati hai to fir is ko koee bura nahi samaj sakta
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 52
Hazrar Nauman bin Bashir (rd) se Rivayat Hai,
Nabi-e-Kareem (S.a.w) ne Farmaya ,
"Halal khula hua hai , aur haram bhi khula hua hai , aur in dono ke darmiyan ba'z chizain shuba ki hai jin ko bohat se log nahi jante , Fir jo koi shuba ki chizon mai pad gaya is ki misal us charvahe ki hai jo (Shahi mehfuz) charagah ke aaspas apne janvaro ko charae . Vo Kareeb hai ke kabhi is charagah ke andar ghus jaae (Aur Shahi mujrim karar paae) , Sun Lo Har Badshah ki ek charagah hoti hai , Allah ki charagah uski zamin maiharam chizain hai . (Pas in se bacho) Sun Lo badan mai ek gosht ka tukda hai jab vo durust hoga sara badan durust hoga aur jaha bigda sara badan bigad gaya . Sun Lo Vo Tukda Aadmi ka Dil hai .
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 53
Abu Jamra ne Farmaya ke Mai Abdullah ibne Abbas (rd) ke paas baitha karta tha vo muj ko khas apne takht par bithate (Ek Dafa) Kehne lage ' Tum mere paas mustakil tor par rah jaao mai apne maal se tumhara hissa mukarrar kardunga .' To Mai Do mah tak in ki khidmat mai reh gaya . Fir kehne lage ke
Abdul Kais ka vafad jab Nabi-e-Kareem (s.a.w) ke paas aaya To Aap ne Puchha Ke " Ye kon si kom ke log hai " ya "ye vafad kaha ka hai ? "
Unhone kaha ke Rabiyya khandan ke log jai .
Aap (s.a.w) ne Farmaya " Marhaba is kom ko ya is Vafad ko , n zalil hone vale n sharminda hone vale " (Yani in ka aana bahut jhub hai)
Vo kehne lage "Ae Allah ke Rasool ! Ham Aap ki Khidmat mai sirf in hurmat vale mahino mai aa Sakte hai kyunke hamare aur aapke darmiyan mizr ke kafiro ka kabila Aabad hai . Pas Aap ham ko ek esi katai baat batla dijie jiski khabar ham apne pichhle logo ko bhi kar de jo yaha nahi aae aur is par amal dar amad kar ke ham jannat mai dakhil ho jaae " aur unhone aap se apne bartano ke baare mai puchha .
Aap (s.a.w) ne in ko chaar bato ka hukm diya aur chaar kism ke bartano ko istemal mai laane se man'a farmaya . In ko Hukm diya,
" Ek Akele khuda par imaan laao ."
Fir Aap (s.a.w) ne Puchha ke " jante ho ek akele khuda par imaan laane ka kya matlab hai ? "
Unhone kaha ke " Allah aur uske Rasool hi ko maalum hai ."
Aap (s.a.w) ne farmaya ke " Is baat ki gavahi dena ke allah ke siva koi ma'abood nahi aur ye ke Hazrat Muhammad (s.a.w) us ke Sache Rasool hai aur namaz kayam karna aur zakat ada karna , Aur Ramzan ke roze rakhna aur maal-e-ganimat se jo mile us ka panchva hissa (Musalmano ke baytul maal) mai dakhil karna . "
Aur Chaar bartano ke istemaal se Aap (s.a.w) ne mana farmaya ,
" Sabz Lakhi murtaban se aur kaddu ke banae hue bartan se , Lakdi ke khode hue bartan se , Aur rogni bartan se "Aur farmaya ke " in baato ko hifz karlo aur un logo ko bhi batla dena jo tum se pichhe hai aur yaha nahi aaye hai."
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 54
Hazrat Umar (rd) se Rivayat hai ,Nabi-e-Kareem (s.a.w) ne Farmaya ,
"Amal Niyyat hi se sahi hote hai aur har aadami ko vahimile ga jo niyyat kare ga . Pas Koi Allah aur us ke Rasool ki riza ke liye Hijrat kare us ki hijrat kare us ki hijrat Allah aur uske Rasool ki Taraf hogi aur jo koi Duniya kamane ke liye ya kisi aurat se shadi karne ke liye hijrat karega to uski hijrat in hi kamo ke liye hogi ."
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 55
Hazrat Abdullah ibne Mas'ood (rd) se Rivayat hai ,
Nabi-e-Kareem (s.a.w) ne Farmaya ,
"Jab Aadami savab ki niyyat se apne Ahal v Ayal par kharch kare pas vo bhi is ke liye Sadka hai."