
HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 46
Hazrat Talha Bin Abdullah (rd) Se Rivayat hai , Vo Kehte hai ,
Najad Valo Mai ek shakhs Rasulallah (s.a.w) ke paas aya , Sar pareshan yani baal bikhre hue the , Ham uski aavaz ki bhun- bhunahat sunte the aur ham samaj nahi paa rahe the ke vo kya keh raha hai . Yaha tak ke vo nazdik aa pahuncha , jab maalum hua ke vo islam ke baare mai puchh raha hai , Nabi-e-Kareem (s.a.w) ne farmaya ke
" Islam din raat mai paanch namain padna hai , " Is ne kaha "Bas is ke siva to aur koi namaz muj par nahi . " Aap (s.a.w) ne farmaya " Nahi magar to nafal pade , "
Aap (s.a.w) ne Farmaya " Aur Ramzan ke roze rakhna "
Isne kaha " Aur To koi roza muj par nahi . "
Aap (s.a.w) ne Farmaya " Nahi Magar Tu nafal roze rakhe "
Talha ne kaha Fir Aap (s.a.w) ne is se zakat ka bayan kiya ,
Vo Kehne laga "Bas aur koi sadka muj par nahi "
Aap (s.a.w) ne farmaya "nahi, magar ye ke Tu nafal sadka De ."
Ravi ne kaha fir Vo shakhs peeth mod kar chala . Yu kehta jata tha , Kasam khuda ki mai n is mai badauga n gataunga .
Aap (s.a.w) ne farmaya " Agar ye sacha hai to apni murad ko pohanch gaya ."
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 47
Hazrat Abu Huraira (rd) Se Rivayat hai ,
Rasulallah(s.a.w) ne Farmaya ,
" Jo Koi Imaan Rakh kar aur savab ki niyyat se kisi musalman ke janaze ke sath jaae aur namaz aur dafan se faragat hone tak uske saath rahe to vo Do(2) kira't savab le kar lote ga , Har kira't itna bada hoga jaise uhad pahad , Aur Jo shakhs janaze par namaz pad kar dafan se pehle lot jaae to vo ek kira't savab le kar lote ga . "
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 48
Hazrat Abdullah ibne Mas'ud (rd) ne bayan kiya ,
Nabi-e-kareem (s.a.w) ne Farmaya ,
"Musalman ko gali dene se aadmi fasik ho jaata hai , aur musalman se ladna kufr hai . "
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 49
Hazrat Ubada bin samit (rd) se Rivayat hai ,
Nabi-e-Kareem (s.a.w) Apne hujre se nikle , Logo ko shab-e-Kadr batana chahate the , Itne mai Do Musalman aapas mai lad pade ,
Aap (s.a.w) ne Farmaya , "Mai To is liye bahar nikla tha ke tum ko shab-e-kadr bataoo aur fula fula aadami lad pade To vo mere dil se utha li gai Aur Shayad isi mai kuchh Tumhari behtari ho . (To Ab esa karo) Shab-e-Kadr ko ramzan ki sattaisvi(27) , Unattisvi(29) v Pacchisvi(25) raat mai dhundha karo .
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 50
Hazrat Abu Huraira (rd) se Nakal kiya ke ,
Ek Deen Nabi-e-Kareem (s.a.w) Log mai Tashrif farma the ke aap ke paas ek shakhs aya aur puchhne laga ke " Imaan kise kehte hai "
Aap (s.a.w) ne Farmaya Ke " Imaan ye hai ke tum Allah paak ke Vujud aur uski Vahdaniyat par Imaan laao , Aur uske firishto ke vujud par aur uski mulakat ke barhaq hone par aur uske Rasulon ke barhaq hone par aur marne ke ba'd do bara uthne par Imaan laao .
Fir Usne Puchha ke Islam kya hai ?
Aap (s.a.w) ne Farmaya Ke " Tum Khalis Allah ki Ibadat Karo aur uske saath kisi ko ko sharik na banao , Aur Namaz kayam karo , Aur Zakat Farz ada karo Aur Ramzan Ke Roze rakho . "
Fir Usne Ahsan ke mut'allik puchha ,
Aap (s.a.w) ne Farmaya "Ahsan ye ke tum Allah ki ibadat aise karo goya tum use dekh rahe ho Agar ye darja n hasil ho to fir ye to samjo ke vo tumko dekh raha hai .
Fir isne Puchha Ke Kayamat kab aaegi ,
Aap(s.a.w) ne farmaya " Is ke baare mai javab dene vala puchhne vale se kuchh ziyada nahi janta , (albatta) mai tumhe is ki nishaniya batla sakta hu . Vo ye hai ke jab Londi apne Aqa ko jane gi , aur jab siyah unto ke charane vale makanat ki ta'meer mai ek dusre se baazi le jane ki koshish kare gai ,
Yad rakho kiyamat ka ilm in panch chizo mai hai jin ko Allah ke siva koi nahi janta . "
Fir Aap ne ye aayat padi , " Allah hi ko kayamat ka ilm hai ke vo kab hogo " (Akhir aayat tak) .
Fir Vo puchhne vala pith phair kar jaane laga . Aap (s.a.w) ne Farmaya ke ise vapas bula kar laao . Log Dod pade magar vo kahi nazar nahi aaya .
Aap (s.a.w) ne Farmaya ke vo Jibrail The Jo logo ko in ka deen sikhane aaye the .