
HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 41
Hazrat Abu Saeed Khudri (rd) Se Rivayat Hai Ke Unhone Rasulallah(s.a.w) Ko Ye Farmate Suna ,
"Jab (ek) Banda Musalman ho jaae aur uska Islam umda ho , To Allah uske Gunah ko jo usne is se pehle kiya Muaaf Farmaa deta hai Aur ab is ke baad ke liye badla shuru ho jata hai , Ek neki ke ivaz(badle) Das guna se lekar saat so(700) guna tak (savab) aur ek burai ka isi burai ke mutabik(badla diya jata hai) Magar ye ke Allah Ta'ala iski burai se bhi darguzar kare .
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 42
Hazrat Abu Huraira (rd) Nakl Farmate hai ,
Rasulallah (s.a.w) ne Farmaya ,
"Tum me se koi shakhs jab apne islam ko umda banale (Yani nifak aur Riya se paak karle) To Har nek kaam jo vo karta hai uske ivaz(badle) das(10) se le kar saat so(700) guna tak nekiya likhi jaati hai aur har bura kaam jo karta hai to vo Itna hi likha jaata hai (Jitna ke usne kiya hai) .
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 43
Hazrat Aayesha Farmati Hai ,
Rasulallah (s.a.w) Ek Din Unke Paas aaye , Us Vakt ek Aurat Mere Paas bethi thi , Aap (s.a.w) Ne daryaft kiya 'Ye Kon hai ?' Me ne arz kiya , ' Fula aurat hai ' aur uski namaz (ke istiyak aur pabandi)ka zikr kiya . Aap (s.a.w) ne Farmaya ,
" Thehar Jaao ! (sun lo) Tum par itna hi amal Vajib hai jitne amal ki tumhare andar Taakat hai . Khuda ki kasam (Savab dene se ) Allah nahi uktata , Magar Tum (Amal karte karte) ukta jaao ge , Aur Allah ko Deen ka vahi amal ziyada pasand hai jiski pabandi ki ja sake ."
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 44
Hazrat Anas (rd) rivayat karte hai , Ke
Rasulallah (s.a.w) ne Farmaya ,
"Jis Shakhs ne 'Lailaha i-llallah' keh liya Aur iske dilmai jav barabar bhi Imaan hai ti vo (ek n ek din) dozakh se zarur nikale ga . Aur Dozakh se vo Shakhs (bhi) zarur nikle ga jis ne kaleema pada . Aur Iske Dil mai gahoo ke daane barabar khair hai . Aur Dozakh se Vo (bhi) nikle ga jisne kalima pada aur iske dil mai ek zarra barabar bhi khair hai .
Hazrat Imaam Abdullah bukhari (rh) farmate hai ke Abaan ne b-rivayat katada b-vaste Hazrat Anas (rd) Rasulallah (s.a.w) se 'khair' ki jagah 'imaan' ka lafz nakal kiya hai .
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 45
Hazrat Umar Bin Khattab (rd) se Rivayat hai ,
Ek Yahudi ne in se kaha , Ae Ameer ul Mo'mineen ! Tumhari kitab (quran) mai ek ayat hai jise tum padte ho . Agar Vo ham Yahudiyo par nazil hoti to ham us (ke nuzul ke) din ko yome eed bana lete . Aap ne puchha vo kon si ayat hai ? Usne javab diya (surat ul maeeda ki ye ayat) "Aaj mai ne Tumhare deen ko mukammal kardiya aur apni naimat tum par tamam kardi aur Tumha