
HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 36
Hazrat Abu Hraira (rd) Se Rivayat Hai ,
Rasulallah (s.a.w) Ne Famaya Ke Jo Shakhs Allah Ki Rah Mai (Jihad Ke Liye) Nikla , Allah Is Ka Zamin ho gaya . (Allah Ta'la Farmata Hai) Is Ko Meri Zaat Par Yakeen Aur Mere Paigambar Ki Tasdeek Ne (Is Sarfaroshi ke liye ghar se) nikala hai . (Mai Is Baat Ka Zameen Hu) Ke Ya to is ko vapis karu savab aur maale ganeemat ke saath , Ya (Shahid Hone ke baad ) Jannat mai dakhil karu , (Rasulallah s.a.w ne Farmaya) Aur Agar mai apni ummat par (is kam ko) dushvar na samajta to lashkar ka sath na chhodta aur meri khvahish hai ke Allah ki Rah mai mara jaoo fir Zinda kiya jaoo , fir mara jaoo , fir zinda kiya jaoo , fir mara jaoo .
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 37
Hazrat Abu Huraira (rd) Se Rivayat Hai ,
Aa Hazrat (s.a.w) Ne farmaya ,
"Jo Koi Ramzan Mai (Rato Ko) Eeman rakh kar aur savab ke liye ibadat kare us ke agle gunah bakhsh diye jate hai."
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 38
Hazrat Abu Huraira (rd) Se Rivayat Hai
Allah Ke Rasool (s.a.w) Ne Farmaya ,
"Jis Ne Ramzan Ke roze Eeman aur khalis niyyat ke sath rakhe uske pichhle gunah bakhsh diye gae ."
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 39
Hazrat Abu Huraira (rd) Se Rivayat Hai
Nabi-e-Kareem (s.a.w) Ne Farmaya
Beshak Deen Aasan Hai Aur Jo Shakhs Deen Mai Sakhti Ikhteyar Karega to Deen us per Ghalib aa jaega (Aur Iski sakhti na chal sakegi) pas (Is liye) apne amal mai pukhtagi ikhteyar karo . Aur Jaha Tak mumkin ho miyana ravi barto aur khush ho jaao , Aur Sub'ha aur dopahar aur kisi kadar raat mai madad hail karo .
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 40
Hazrat Baraa bin Aazib (rd) ne Khabar ke
Rasulallah (s.a.w) jab madeena Tashreef laae to pehle apni nanihal mai utre , jo Ansari the . Aur vaha Aap (s.a.w) ne solah ya satrah mah Baytul Mukaddas ki Taraf Muh Karke namaz padi , Aur Aap (s.a.w) ki khvahish Thi ke Aap ka Kibla Baytullah ki Taraf Ho(Jan Baytullah ki taraf namaz padne ka hukm ho gaya) to Sab se pehle namaz jo Aap (s.a.w) ne Baytullah ki Taraf padi Asar ki namaz Thi. Vaha Aap (s.a.w) Ke Sath logo ne bhi namaz padi , Fir Aap ke sath namaz padne valo maise ek Aadmi nikla aur uska masjid(Bani harisa) ki Taraf se guzar hua To Vo Log ruku mai the . Vo Bola ke mai Allah Ki gavahi deta hu ke mai ne Rasulallah(s.a.w) ke Sath Makkah ki taraf muh karke namaz padi hai . (Ye Sun ke) Vo Log Isi Halat mai Baytullah ki taraf ghum gae aur jab Rasulallah (s.a.w) baytul Mukaddas ki taraf muh karke namaz pada karte the , Yahud Aur Isaee khush hote the magar jab Aap (s.a.w.) ne Baytullah ki Taraf muh fair liya to Unhe ye amr na Gavar hua . Zahir (Ek ravi) kehte hai ke ham se abu Is'hak ne Bara'a se ye Hadees bhi nakl ki hai ke Kibla ki Tabdeely se pehle khuchh musalman Intekal kar chuke the . To Hame ye malum na ho saka ke in ki namazon ke baare mai kya kahen . Tab Allah ne ye aayat nazil ki " V Ma Kaan-Allaho Leyodia Eemanekum"