top of page

HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Hadees No. 4
Jabir bin Abdullah Ansari(rd) ne fitrat e vahi ki hadees bayan karte
hue kaha ke Rasulallah (s.a.v) ne apni guftagu me farmaya
Mai chala ja raha tha ke asman ki taraf se ek avaz suni mene
nigah utha kar dekha to vahi farishta jo mere pas gar-e-hira me
aya tha asman-o-zamin ke darmiyan kursi par betha hua hai
jis se muj par ro'ab tari ho gaya aur mai laut kar ghar aya to mene
kaha "muje kapda udao muje kapda udao " . Logo ne uda diya
Fir Allah ta'la ne ye ayate nazil farmai
" Bala posh odne vale , Uthiye , Allah se daraiye , aur apne
Parvardigar ki badai bayan kijie , aur apne kapde ki pak rakhie ,
aur boot se dur rahie .
Iske ba'd vahi me garmi aur tasalsul paida ho gaya .
bottom of page