
HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Hadees No. 5
Ibne Abbas (rd) se marvi hai Allah ta'la ke is irshad ki tafseer me
"Tum jald yad karne ki khvahish me nuzul-e-quran ke sath apni
zaban ko harkat n do " .
Ibne Abbsa (rd) ne kaha ke Huzur (s.a.v) Quran ke nuzul hone se
shiddat mehsus farmate the . Jab Jibrail (as) vahi lekar utarte aur
aur apni zaban aur honto ko harkat dete (sath sath padne ki koshish
karte ) . Huzur par shiddat tari hoti jise jan liya jata .
Ibne Abbas (rd) ne farmaya " Me tumhe samjane ke liye apne hoto
ko hilata hu jaise Huzur (s.a.v) hilate the .
Saeed ibne Zuber (rd) ne kaha " Me tum logo ke liye apne hoto ko
hilata hu jaise ibne Abbas (rd) hilate the , to unhone apne hoto ko hilaya .
To Allah ta'la ne Sura-e-qiyama ki is ayat ko utara "Tum yad karne ki jaldi
me apni zuban ko harkat n do . Be shak is ka mehfuz karna aur padna
hamare zimme hai "(Ayat no. 16 , 17) Beshak hamare zimme hai iska apke
sine me jama karna aur iska bayan karna . " To jab ham ise pad chuke to is
pade hue ki itteba karo ." (ayat no.18)
To jab ham use nazil kar chuke to use gor se sunie aur khamosh rahie
"Fir beshak iski barikiyo ka tum par zahir farmana hamare zimme hai "(19)
Fir iske bad jab rasulallah(s.a.v) ki khidmat me jibrail hazir hote to aap
b-gaur sunte rehte , gardan jukae rehte . Jab jibrail chale jate to nabi(s.a.v)
vesa hi pad lete jaisa jibrail ne pada .