
HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 31
Hazrat Maa'rur Farmate hai
Mai Abu zar se Rabaza Mai mila Vo ek Joda Pehne hue the Aur unka Gulam bhi Joda pehne hue tha . Mai ne Iska sabab daryaft kiya to kehne lage ke mai ne Ek shakhs yani apne Gulam ko Bura Bhala kaha tha aur Us ko maa ki Gairat dilaee(Yani Gali di) To Rasulallah (s.a.w) ne ye maalum karke Mujse Farmaya ,
"Ae Abu Zarr ! Tune Maa ke Naam se gairat Dilaee , Beshak tuj mai kuchh jamana-e-Jahiliyyat ka kuchh asar baaki hai . Yaad Rakho Ma'tahat log tumhare bhai hai , Allah ne (Apni kisi Maslehat ki bina par) Unhe tumhare Kabze mai de rakha hai to jiske ma'tahat uska koi bhai ho to usko Bhi Vahi khilae Jo Aap Khata hai , Aur vahi kapda use pehnae jo Aap Pehanta hai , Aur In ko Itne Kaam ki taklif na do ke Unke liye mushkil Ho Jaae Aur agar koi sakht kaam daalo to tum khud unki madad karo
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 32
Abdullah Bin Mas'ud (rd) Se Rivayat hai Farmate hai ,
Jab Surat-ul-An'aam ki ayat Utri " Jo Log Imaan Laae Aur Unhone apne imaan mai gunaho ki Aamezish nahi ki "
To Aap (s.a.w) Ke Ashab ne Kaha "Ya Rasulallah (s.a.w) Ye To Bohat Hi Mushkil hai Ham Mai Kaun Esa Hai Jis Ne Gunah Nahi Kiya ." Tab Allah Paak Ne Sura-e-Lukman Ki Aayat Utari " Beshak Shirk Bada Zulm Hai . "
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 33
Hazrat Abu Huraira (rd) Se Rivayat Hai , Ke Vo Rasulallah(s.a.w) Se Rivayat Karte Hai ,
Aap (s.a.w) Ne Farmaya ,
"Munafik Ki Alamate Teen Hai ,
1)Jab Baat Kare Jhuth Bole ,
2)Vaada Kare Uske Khilaf Kare,
3)Jab Usko Ameen Banaya Jaae To Khiyanat Kare.
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 34
Hazrat Abdullah Bin Umar (rd) Se Rivayat Hai Ke Rasulallah (s.a.w) Ne Farmaya ,
" Chaar(4) Aadaten Jis Kisi Mai Ho To vo Khalis Munafik Hai Aur Jis Mai In Charon Mai se Ek Aadat Ho To Vo Bhi Nifak Hi Se Hai , Jab Tak Use Na Chhod De ,
1) Jab Use Ameen Banaya Jae To Khiyanat Kare , Aur
2) Baat Karte Vakt Jhuth Bole , Aur
3) Jab Ahad Kare To Use Pura Na Kare, Aur
4) Jab Kisi Se Lade To Ghaliyo Par Utar Aaye .
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 35
Hazrat Abu Huraira (rd) Nakl Farmate Hai , Ke Rasulallah (s.a.w) Ne Farmaya ,
"Jo Shakhs Shab-e-Kadr Imaan Ke Saath Mahaz Savab-e- Akhirat Ke Liye Zikr V Ibadat Mai Guzare Is Ke Guzista Gunah Bakhsh Diye Jaate Hai."