
HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 26
Hazrat Abu Huraira (rd) Se Rivayat Hai,
Rasulallah (s.a.w) Se Daryaft Kiya Gaya , Kon Sa Amal Sabse Afzal Hai ,
Aap (s.a.w) Ne Farmaya , "Allah Aur Uske Rasool Par Imaan Lana " , Kaha Gaya Iske Ba'd Konsa , Aap (s.a.w) Ne Farmaya , "Allah Ki Rah Mai Jihad Karna " Kaha Gaya "Fir Kya ?" Aap (s.a.w) Ne Farmaya "Hajje Mabroor ."
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 27
Aamir Bin Sa'd Bin Abi Vakkas Ne Apne Valid Sa'd (rd) Se Sun Kar Ye Khabar di ,
Rasulallah (s.a.w) Ne Chand Logo Ko Kuchh Atayya Diya Aur Sa'd Vaha Mojud The , (Vo Kehte Hai Ke ) Rasulallah (s.a.w) Ne UnMe se Ek Shakhs Ko Kuchh Na Diya , Halanke Vo In Me Muje Sabse Jiyada Pasand Tha , Maine Kaha Huzur Aap Ne Fula Ko Kuchh Na Diya Halanke Mai Use Momin Guman Karta Hu . Aap (s.a.w) Ne Farmaya Momin Ya Musalman ? Mai Thodi Dair Chup Reh Kar Fir Pehli Baat Dohrane Laga. Huzur (s.a.w) Ne Bhi Dobara Vahi Javab Diya . Fir Aap (s.a.w) Ne Farmaya "Ae Sa'd Bavujud Ye Ke Ek Shakhs Muje Ziyada Aziz Hai (Fir Bhi Mai USe NazarAndaz Karke) Kisi Aur Dusre Ko Is Khof Ki Vaje Se Ye Maal De Deta Hu Ke (Vo Apni Kamzori Ki Vaje Se Islam Se Fir Jae Aur) Allah Use Aag Mai Undha Dal De .
Is Hadees Ko Unus , Saleh , Muammar Aur Zahari Ke Bhatije Abdullah Ne Zahari Se Rivayat Kiya .
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 28
Hazrat Abdullah Bin Amroo (rd) Se Rivayat Hai
Ek Aadmi Ne Rasulallah (s.a.w) Se Puchha ,
"Kon Sa Islam Behtar Hai ?"
Aap (s.a.w) Ne Farmaya ,
"Tu Khana Khilaye Aur Har Shakhs Ko Salam Kare Khvah Us Ko Tu Janta Ho Ya Na Janta Ho ."
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 29
Hazrat Abdullah Ibne Abbas (rd) Se Rivayat Hai ,
Aa Hazrat (s.a.w) Ne Farmaya ,
"Muje Dozakh Dikhai Gai To Us Mai Ziyadatar Auratein Thi , Jo Kufr Karti Thi ."
Kaha Gaya , "Huzur Kya Allah Ke Sath Kufr Karti Hai ? "
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 30
Hazrat Ahnaf Bin Kais Kehte Hai
Mai Is Shakhs(Hazrat Ali rd) Ki Madad Karne Ko Chala , Raste Mai Muj ko Abu Bakra Mile . Puchha Kaha Jaa Rahe ho ? Mai ne kaha 'us shakhs (Hazrat Ali rd) ki madad karne ko jata hu . Abu bakra ne kaha ghar laut jaao , Maine Aa Hazrat (s.a.w) se suna hai , Aap (s.a.w) farmate hai ,
"Jab Do Muslman Apni Apni talvare le kar Bhid jaae To Kaatil Aur Maktul Dono Dozakhi hai ."
Mai ne Arz kiya "Ya Rasulallah (s.a.w) , Katil to Khair Maktul Kyu ? "
Farmaya " Vo Bhi apne sathi ko maar dalne ki hirs rakhta tha ."
(Moka paata to vo use zarur katal kar deta , dil ke azme sameem par vo dozakhi hua)