
HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 16
Hazrat Anas (rd) Se Rivayat Hai ,
Nabi-e-Kareem (s.a.w) Ne Irshad Farmaya :
" Teen (3) Khaslate Aisi Hai Ke Jis Mai Paida Ho Jaae Usne Imaan Ki Mithas Ko Paa Liya .
1) Ek Ye Ke Allah Aur Uska Rasool (s.a.w) Uske Nazdeek Sabse Ziyada Mehboob Ban Jaae .
2) Vo Kisi Insaan Se Mahaz Allah Ki Riza Ke Liye Mohabbat Rakhe .
3) Vo Kufr Mai Vapas Lautane Ko Esa Bura Jaane Jaisa Ke Aag Mai Dale Jaane Ko Bura Janta Hai .
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 17
Hazrat Anas Bin Malik (rd) Se Rivayat Hai
Rasulallah (s.a.w) Ne Farmaya
"Ansar Se Muhobbat Rakhna Imaan Ki Nishani Hai , Aur Ansar Se Kinaa Rakhna Nifaq Ki Nishani Hai . "
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 18
Hazrat Ubada Bin Samit (rd) Jo Badar Ki Ladai Mai Sharik The , Aur Laylat-ul-Uqba Ke (barah-12) Nakibo Mai Se The ,
Farmate Hai - Rasulallah (s.a.w) Ne Us Wakt Jab Aap Ke Gird Sahaba Ki Ek Jama't Baithi Hui Thi , Farmaya ..
" Mujse Bai'yat Karo Is Baat Par Ke Allah Ke Sath Kisi Ko Sharik Na Karoge , Chori Na Karoge , Zina Na Karoge , Apni Aulad Ko Katl Na Karoge , Aur Na Amadan Kisi Par Na Haq Bohtan Bandhoge , Aur Kisi Bhi Achhi Bat Mai (Khuda) Ki Na-Farmani Na Karoge , Jo Koi Tum Me Se (Is Ahad) Ko Pura Karega Uska Savab Allah Ke Zimme Hai , Aur Jo Koi In (Buri Bato) Mai Se Kisi Ka Irtekab Karega , Aur Use Duniya Mai (Islami Kanoon Ke Tahat ) Saza De Di Gai , To Ye Saza Iske (Gunaho) Ke Liye Badla Ho Jaegi , Aur Jo Koi In Me Se Kisi Baat Mai Mubtila Ho Gaya Aur Allah Ne Uske (Gunah) Ko Chhupa Liya To Fir Iska (Mu'amala) Allah Ke Havale Hai , Agar Chahe Ma'f Kare Agar Chahe Saza De de .
Ubada Kehte Hai
" Fir Ham Sab Ne In (sab Bato) Par Aap (s.a.w) Se Bai't Kar Li ."
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 19
Hazrat Abu Saeed Khudri (rd) Se Rivayat Hai,
Rasulallah (s.a.w) Ne Farmaya ,
"Vo Vakt Kareeb Hai Jab Muslman Ka Sabse Umda Maal (Uski Bakriya Hongi) , Jinke Pichhe Vo Pahado Ki Chotiyo Aur Barsati Vadiyo Mai Apne Deen Ko Bachane Ke Liye Bhag Jaega . "
Sahih Bukhari > Bab 2 > Hadees No. 20
Hazrat Aaisha Siddika (rd) Se Rivayat Hai
Vo Farmati Hai
Rasulallah (s.a.w) Logo Ko Kisi Kaam Ka Hukm Dete To Vo Esa Hi Kaam Hota Jiske Karne Ki Logo Mai Takat Hoti , (Is Par) Sahaba (rd) Ne Arz Ki ,
" Ya Rasulallah (s.a.w) Ham Log To Aap Jaise Nahi Hai (aap To Masum Hai) , Aur Aap Ki Allah Ne Agli Pichhli Sab Lagzishe Mu'af Farmadi Hai . ( Islie Hame Apne Se Kuchh Ziyada Ibadat Karne Ka Hukm Farmaie ) . "
Ye Sun Kar Aap(s.a.w) Naraz Hue , Hatta Ke Khafagi Aap (s.a.w) Ke Chehra-e-Mubarak Se Zahir Hone Lagi , Fir Farmaya,
"Be-Shak Mai Tumse Ziyada Allah Se Darta Hu , Aur Tumse Ziyada Use Jaanta Hu . (Pas Tum Mujse Bad Kar Ibadat Nahi Kar Sakte ) . "