
HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 76
Hazrat Abdullah ibne Abbas (rd) se Rivayat hai , vo Farmate hai ,
Mai (Ek Martaba) Ghadhi (donkey) par suvar hokar chala , Us Zamane mai , Mai Bulug ke kareeeb tha . Rasulallah (s.a.w) minna mai namaz pad rahe the aur apke samne divar ki aad na thi , To mai ba'z safo ke samne se guzra aur ghadhi ko chhod diya . Vo Charne lagi , Jab ke mai saf mai shamil ho gaya , (Magar) kisine muje is baat par toka nahi .
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 77
Mehmood Bin Ar Rabie Nakl karte hai ke unhone kaha ke Muje Yad hai ke (Ek Martaba) Rasulallah (s.a.w) ne ek dol se muh mai pane le kar mere chehre par kulli farmayee aur mai us vakt panch sal ka tha .
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 78
Hazrat Abdullah bin abbas (rd) se Rivayat hai ,
Ke Vo Aur Hurr bin hasan fazary , Hazrat Musa (as) ke sathi ke bare mai Jhagde . (Is Dauran mai) in ke paas se Abi bin ka'ab guzre , To Ibne Abbas (rd) ne unhe bulaya aur kaha ke mai aur mere ye sathi Hazrat Musa (as) ke sathi ke bare mai bahas kar rahe hai jis se milne ki Hazrat Musa (as) ne (Allah se ) dua ki thi . Kya aap ne Rasulallah (s.a.w) ko kuchh in ka zikr farmate hue suna hai ?
Hazrat Abi ne kaha ke haa ! mai ne Rasulallah (s.a.w) ko in ka hal bayan farmate hue suna hai . Aap Farma rahe the ,
" Ek bar Hazrat Musa (as) bani israeel ki ek jama't mai the ke itne mai ek shakhs aaya aur kehne laga ' Kya aap jante hai ke duniya mai aap se bhi bad kar koi aalim mojud hai . ' Hazrat Musa (as) ne farmaya ' Nahi !!'
Tab Allah Ta'ala ne Hazrat Musa (as) par vahi nazil ki ke " Ha Hamara Banda Khizar (Ilm mai tumse bad kar ) hai ."
To Hazrat Musa (as) ne in se milne ki rah daryaft ki is vakt Allah Ta'ala ne (in se mulakat ke liye ) machhli nishani karar diya aur in se keh diya ke jab tum machhli ko na paao to laut jaana , Tab Khizar (as) se mulakat kar loge . Hazrat Musa (as) dariya mai machhli ki nishani ka intezar kar rahe rhe the , Tab inke khadim ne in se kaha , " Kya aap ne dekha tha ke jab ham patthar ke paas the , to mai (vaha) machhli bhul gaya . Aur muje shaitan hi ne gafil kar diya . Hazrat Musa (as) ne kaha ke ham usi (makam) ke mutlashi the , Tab vo apne ( kadmo ke ) nishano par baate karte hue vapas laute , (Vaha) Khizar (as) ko unhone paya . Fir in ka kissa vahi hai jo Allah Ta'ala ne vahi-e-Kitab mai bayan farmaya hai . "
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 79
Hazrat Abu Musa se Rivayat hai ke Nabi-e-Kareem (s.a.w) ne Farmaya ke Allah Ta'la ne Muje jis ilm aur hidayat ke sath bheja hai us ki misal zabardast barish ki si hai jo zameen par (khub) barse . Ba'z zameen jo saf hoti hai vo pani ko pee leti hai aur bahot sabza aur ghas lagati hai , aur ba'z zameen jo sakht hoti hai vo pani ko rok leti hai , us se Allah Ta'la logo ko fayda pahunchata hai . Vo is se sayrab hote hai , aur sayrab karte hai . Aur kuchh zamin ke ba'z khitto par pani padta hai jo balkil chatiyal maidan hote hai , Na Pani rokte hai aur na sabza ugate hai . To ye us shakhs ki misal hai jo deen mai samaj paida kare aur nafa de , usko vo chiz jiske sath mai mab'oos kiya gaya hu . Isne Ilm-e-Deen sikha aur sikhaya , aur us shakhs ki misal jis ne sar nahi uthaya (Yani tavajjoh nahi ki) aur jo hidayat de kar mai bhaija gaya hu use kubul nahi kiya .
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 80
Hazrat Anas (rd) se Rivayat hai ke ,
Nabi-e-kareem (s.a.w) ne farmaya , " Alamat-e-Kayamat mai se ye hai ke (deeni) ilm uth jaega aur jahal hi jahal zahir ho jaega . Aur (Elaniya) sharab pee jaegi aur zina fail jaega .
Next >>