top of page

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 71

Hazrat Hameed Bin Abdur rehman ne kaha ke maine Muaviyya se suna , Vo Khutba mai farma rahe the Ke Maine Rasulallah (s.a.w) ko ye farmate suna ke 

" Jis Shakhs ke Sath Allah Ta'la Bhalai ka irada kare use Deen ki samaj inayat farma deta hai , Aur Mai to Takseem karne vala hu , Dene Vala To Allah Hi hai , Aur ye Ummat Hamesha Allah ke hukm par kayam rahe gi aur jo shakhs in ki mukhalifat kare ga , Unhe Nuksan nahi pahuncha sake ga , Yaha tak ke Allah ka hukm (Kayamat) aa jae (Aur ye alam fanah ho jaae) . "

 

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 72

Hazrat Ibne Abi Nahi ne Mujahid ke vaste se nakl kiya , Vo Kehte hai ke Mai Abdullah bin Umar (rd) ke sath madeene tak raha , Mai ne (is) ek hadees ke siva in se Rasulallah (s.a.w) ki koi hadees nahi suni , Vo Kehte the ke , 

Ham Rasulallah (s.a.w) ki khidmat mai hazir the ke Aap(s.a.w) ke paas khajoor ka ek Ghaba laya gaya . (Use dekh kar) Aap(s.a.w) ne Farmaya ke Darakhto mai ek darakht esa hai us ki misal musalman ki tarha hai . 

( Ibne Umar rd kehte hai ke ye sun kar ) mai ne irada kiya ke Arz karu ke vo (darakht) khajoor ka hai , Magar Chunke mai sab mai chhota tha is liye Khamosh raha . 

Fir Rasulallah (s.a.w) ne Khud hi farmaya ke vo Khajoor hai .

 

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 73

Hazrat Abdullah ibne Mas'ood (rd) se Rivayat hai ke 

Rasulallah (s.a.w) ka irshad hai ke hasad sirf do bato mai jaeez hai , Ek to us shakhs ke bare mai jise Allah ne Dolat di ho aur vo us dolat ko rah-e-haq mai kharch karne par bhi kudrat rakhta ho aur ek us shakhs ke bare mai jise Allah ne hikmat (ki dolat ) se navaza ho aur vo is ke zariye se faisale karta hoaur (logo ko) hikmat ki talim deta ho .

 

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 74

Hazrat Ubaidullah bin Abdullah ne hazrat Ibne Abbas (rd) ke vaste se khabar di ke 

Vo aur Hurr bi kais bin hasan fazari Hazrat Musa (a.s) ke sathi ke bare mai bahase . Hazrat ibne Abbas (rd) ne Farmaya ke vo Khizar (as) the. Fir in ke paas se Abi bin Ka'b (rd) guzre , To Abdullah bin Abbas (rd) ne unhe bulaya aur kaha ke mai aur mere ye rafik Musa (as) ke us sathi ke bare mai bahas kar rahe hai jis se unhone mulakat chahi thi . Kya aap ne Rasulallah(s.a.w) se is ke baare mai kuchh zikr suna hai ?

Unhone kaha ' Ha mai ne Rasulallah (s.a.w) ko ye farmate suna hai ,

"Ek din Hazrat Musa (as) bani Israeel ki ek Jama't mai baithe hue the ke itne mai ek shakhs aaya aur us ne Aap(as) se puchha kya Aap jante hai ke duniya mai koi aap se bhi bad kar aalim mojud hai ? ,

Hazrat Musa (as) ne Farmaya "Nahi" .

Is Par Allah Ta'la Ne Hazrat Musa (as) ke pas Vahi bheji Ke " Ha ! Hamara banda Khizar hai ( jis ka ilm tum se jiyada hai ) ,

Hazrat Musa (as) ne Allah se daryaft kiya ke Khizar (as) se milne ki kya surat hai ? "

Allah Ta'la ne ek machhli ko in se mulakat ki alamat karar diya aur un se kahe diya ke jab tum is machhli ko gum kardo to (vapas) laut jaao , Tam khizar se tumhari mulakat hogi .

Tab Musa (as) chale aur darya mai machhli ki alamat talash karte rahe . Is Vakt inke Sathi ne kaha jab ham Patthar ke pas the , Kya aap ne dekha tha , Mai us vakt machhli ka kehna bhul gaya aur shaitan hi ne muje iska zikr bhula diya .

Musa (as) ne kaha " Usi makam ki hame talash thi ." Tab vo apne nishanat kadam par batein karte hue laute ,  Vaha unhone khizar (as) ko paya . Fir un ka vahi kissa hai jo Allah ne apni kitab Quran mai bayan kiya hai .

 

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 75

Hazrat Ibne Abbas (rd) se Rivayat hai , Unhone Farmaya , 

(Ek Martaba) Rasulallah (s.a.w) ne Muje (sine se) laga liya aur dua dete hue Farmaya , " Ae Allah ! Ise Ilme-e-Kitab (Quran) ata Farma ."

 

© 2023 by Name of Template. Proudly created with Wix.com                                                                            Created And Maintained By Rizvan Khatri

bottom of page