
HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 86
Hazrat Anas (rd) se Rivayat Hai , Vo Farmate Hai
Mai Tumse Ek Esi Hadees bayan karta hu jo mere ba'd Tumse koi nahi bayan karega , Maine Rasulallah (s.a.w) ko ye farmate hue suna ke ,
" Alamate Kiyamat mai se ye hai ke Ilm (e-Deen) Kam Ho Jaaega . Jahal Zahir ho jaaega . Zina Ba-Kasrat hoga . Auratein(women) bad jaaengi aur mard kam ho jaaenge . Hatta ke 50 Auraton ka nigran sirf ek Mard Reh Jaaega .
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 87
Hazrat Abu Jamra Se Rivayat hai ke Vo Farmate hai ,
Mai Abdullah ibne Abbas (rd) aur logo ke darmiyan Tarjumani ke faraiz anjam deta tha , (ek Martaba) Ibne Abbas (rd) ne kaha ke Kabeela Abdul Kais Ka vafad Rasulallah (s.a.w) ki khidmat mai aaya .
Aap (s.a.w) ne daryaft farmaya ke " Kon sa Vafad hai ? " ya " ye kaun log hai ? "
Unhone kaha ke Rabiyaa khandan (ke log hai) .
Aap (s.a.w) ne Farmaya ke " Mubarak ho kaum ko /ya/ Mubarak ho vafad ko na rusva ho na sharminda ho ."
(Is ke ba'd) Unhone arz kiya ke " ham ek door daraz kone se Aap (s.a.w) ke paas aaye hai aur hamare aur apke darmiyan kuffar mazar ka ye kabila padta hai , (Is ke khauf ki vajeh se) ham hurmat vale mahino ke ilava aur ayyam mai nahi aa sakte . Is liya hame koi esi (kataee) baat batla dijie ke jis ki ham apne pichhe reh jaane vale logo ki khabar de den. (aur) uski vajeh se ham jannat mai dakhil ho sake . "
To Aap (s.a.w) ne unko char(4) baato ka hukm diya aur char se roka.
Avval unhe hukm diya , " Allah par Imaan laae ." Fir Farmaya " Kya Tum Jaante ho Ke Allah par imaan lane ka kya matlab hai ? "
Unhone Arz kiya " Allah aur uske Rasool ziyada jante hai "
Aap (s.a.w) ne Farmaya " Is Baat ka ikraar karna ke Allah ke Siva koi ma'bood nahi aur ye ke Muhammad (s.a.w) Allah ke sacche Rasool hai , aur namaz kayam karna , Zakat ada karna , aur Mah-e-Ramzan ke roze rakhna aur ye ke Tum mal-e-ganimat se panchava hissa ada karo ."
Aur chaar chizo se man'a farmaya " Daba , Hantum , aur mazfat ke Istemal se "
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 88
Ukba Bin Al Harees se Rivayat hai ke unhone Abu Abab bin Azeez ki ladki se nikah kiya to un ke paas ek aurat aayee aur kehne lagi ke maine Ukba ko aur jis se us ka nikah hua hai , us ko dudh pilaya hai . (Ye sun kar ) Ukba ne kaha , " Muje Nahi malum ke tune muje dudh pilaya hai aur na tune kabhi muje bataya hai . Tab Ukba savar ho kar Rasulallah (s.a.w) ki khidmat mai madina Munavvara hazir hue , aur Aap (s.a.w) se is ke mut'allik daryaft kiya , To Aap (s.a.w) ne Farmaya, "Kis tarha (tum is ladki se rishta rakhoge ) halanke ( is ke mut'allik) kaha gaya ," Tab ukba bin Haris ne us ladki ko chhod diya aur usne dusra khavand kar liya .
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 89
Hazrat Umar ibne Khattab (rd) se Rivayat hai ke Vo Farmate hai
Mai aur mera ek ansari padosi dono etraf-e-Madina ke ek gaao Bani Umayya bin Zaid mai rehte the Jo Madina ke (purab ki taraf ) buland gaao mai se hai . Ham dono bari bari nabi-e-Kareem (s.a.w) ki khidmat shareef mai hazir hua karte the . Ek din vo aata , ek din mai aata . Jis Din Mai Aata us din vahi ki aur digar bato ki us ko khabar de deta tha , aur jab vo ata tha to vo bhi isi tarha karta .
To Ek din vo mera Ansari sathi apni bari ke roz hazir-e-khidmat hua (jab vapas aaya) to us ne mera darvaza bahot zor se khatkhataya aur (mere bare mai puchha ke) kya Umar yaha hai ?
Mai gabra kar us ke paas aaya , Vo kehne laga ke ek bada mua'mala pesh aa gaya hai. ( Yani Ra Rasulallah (s.a.w) ne apni biviyo ko talak de di hai) Fir mai (apni beti) Hafsa ke paas gaya , Vo ro rahi thi . Maine puchha , " Kya Tumhe Rasulallah (s.a.w) ne Talak de di hai ? "
Vo kehne lagi " Mai nahi janti ."
Fi mai nabi-e-Kareem (s.a.w) ki khidmat mai hazir hua , Maine khade khade kaha ke " Kya Aap (s.a.w) ne Apni biviyo ko Talak de di hai ? "
Aap (s.a.w) ne Farmaya " Nahi " . ( Ye Afva galat hai) Tab maine kaha <<Allahu akbar>> Allah bahot bada hai .
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 90
Hazrat Abu Mas'ood Ansari (rd) se Rivayat hai ke ek shakhs (Hazam bin Abi Ka'b) ne (Rasulallah (s.a.w) ki khidmat mai aakar) arz kiya ,
"Ya Rasulallah (s.a.w) ! Fula Shakhs ( Mu'az bin Jabal ) Lambi namaz padate hai is liye mai (Jama't ki) namaz mai sharik nahi ho sakta . (Kyunke mai din bhar oont charane ki vajeh se raat ki thak kar chakna choor ho jaata hu aur tavil kir'at sun ne ki takat nahi rakhta) (Abu Mas'ood Ravi kehte hai ) ke is din se ziyada maine kabhi Rasulallah (s.a.w) ko Va'az ke doran itna gazab naak nahi dekha .
Aap (s.a.w) ne Farmaya " Logo ! Tum ( Esi Shiddat ikhteyar karke logo ko deen se ) nafrat dilane lage ho . (Sun lo ) Jo Shakhs logo ko namaz padae to vo halki padae , Kyunke in mai Bimaar , Kamzor aur hajat vale hote hai ."