top of page

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 111

Hazrat Hujaifa se rivayat hai , vo farmate hai ke ,

Maine Hazrat Ali (rd) se puchha ke kya Aap ke paas koi aur bhi kitab hai ?

Unhone Farmaya , " Nahi Magar Allah ki kitab Quran hai , ya fir faham hai jo Vo ek musalman ko ata karta hai . Ya fir jo kuchh is sahife mai hai . "

Maine puchha is sahife mai kya hai ?

Unhone farmaya " Daiyat aur kediyo ki rihaee ka bayan . Aur ye hukam ke musalman kafir ke badle katal na kiya jaae ."

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 112

Hazrat Abu Huraira (rd) se Rivayat hai ke 

Kabila Khaza'a ( ke kisi shakhs ) ne Banu Lais ke kisi aadami ko apne kisi Maktool ke badle mai maar diya tha , Ye Fathe Makka vale saal ki baat hai , Rasulallah (s.a.w) ko ye khabar di gaee , Aap(s.a.w) ne apni Oontani (camel) par suvar ho kar khutba pada Farmaya

"  Allah ne Makka se Katal ya Haathi ko rok liya ,"

(Imaam Bukhari (rh) farmate hai is lafz ko shak ke saath samjo , Esa hi Abu naeem vagaira ne <<A-Takul>> aur <<Al-faseel>> kaha hai . In ke ilava dusre log << Al-Faseel>> (hathi) kehte hai .

 

(Fir Rasulallah(s.a.w) ne Farmaya ) " Ke Allah ne in par apne Rasool aur Musalman ko galeeb kar diya aur samaj lo ke Vo (Makka) kisi ke liya halal nahi hua . Na Muj se pehle aur na (aaeenda) kabhi hoga , aur mere liye bhi sirf din ke thode se hisse ke liye halal kar diya gaya tha . Sun Lo ! vo is vakt haram hai , Na is ka koi kanta toda jaae , na is ke darakht kate jaae aur is ki giri padi chizain bhi vahi uthae jis ka mansha ye ho ke vo is chiz ka Ta'arruf kara dega . To agar koi shakhs mara jaae to (us ke azizo) ko ikhtiyar hai vo bato ka ya daiyat leya badla ."

 

Itne mai ek yamani aadami aaya aur kehne laga " Mere Liye Likhva dijiye ."

 

Tab Aap (s.a.w) ne Farmaya ke " Abu Fulaa ke liye Likh do ."

 

To Ek kuraishi shakhs ne kaha ke " Ya Rasulallah (s.a.w) Magar Azkhar (Yani Azhkhar katne ki ijazat de dijiye ) Kyunke ise ham gharo ki chhato par dalte hai . Aur apni kabro mai bhi dalte hai . (Ye Sun kar)

 

Rasulallah(s.a.w) ne Farmaya ke , " (Ha) magar Azkhar , magar Azkhar ." 

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 113

Hazrat Vahab Bin Munabbe (rd) apne bhai ke vaste se Rivayat karte hai , ke Maine Hazrat Abu Huraira (rd)  ko kehte hue suna

ke Rasulallah (s.a.w) ke Sahaba mai Abdullah Bin Amroo (rd) ke ilaava mujse ziyada koi hadees bayan karne vala nahi tha . Magar Vo likh liya karte the aur mai likhta nahi tha .

Dusri sanad se Muammar ne Vahab bin Munabbai ki mutaba't ki , Vo hamam se rivayat karte hai , Vo Hazrat Abu Huraira (rd) se . 

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 114

Hazrat Ibne Abbas (rd) se Rivayat hai ke , 

Jab Nabi-e-Kareem (s.a.w) ke Maraz mai shiddat ho gaee to Aap (s.a.w) ne Farmaya ke " Mere paas saaman-e-Kitabat laao take Tumhare liye ek Tehreer likh doo , Take Baad mai Tum Ghumrah na ho sako ."

Is par Hazrat Umar (rd) ne kaha ke is vakt aap par Takleef ka galba hai aur hamare paas Allah ki kitaab Quraan mojud hai jo hame kafi hai. 

Is par Logo ki raye mukhtalif ho gaee aur shor-o-gul ziyada hone laga . Aap (s.a.w) ne Farmaya " Mere paas se Uth khade ho , Mere jagadna theek nahi , "

Is par Ibne Abbas (rd) kehte hue nikl aaye ke Be shak Musibat badi sakht musibat hai (vo chiz jo) hamare aur Rasul-e-Kareem (s.a.w) ke aur aap ki Tehreer ke darmiyan haeel ho gaee . 

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 115

Hazrat Umme Salma (rd) se Rivayat hai ke 

Ek Raat Nabi-e-Kareem (s.a.w) ne bedaar hote hi farmaya ke ,

" Sub'han Allah ! Aaj ki Raat kis kadar fitne Utaare gae hai , Aur Kiten hi khazane khole gae hai . In Hujre Valiyo ko jagaao , Kyunke Bahot si Auratein Duniya mai Kapda pehan ne Vali hai Vo Akhirat mai Nangi hongi . "

© 2023 by Name of Template. Proudly created with Wix.com                                                                            Created And Maintained By Rizvan Khatri

bottom of page