
HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 106
Hazrat Rabi bin Haras se Rivayat hai Vo Farmate hai ke Maine Hazrat Ali (rd) ko ye Farmate hue suna ke Rasulallah (s.a.w) ne Farmaya ,
" Muj par Jhooth mat bolo , kyunke jo muj par jhooth bandhe vo dozakh mai dakhil hoga ."
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 107
Hazrat Abdullah ibne Zubair Farmate hai ke , unhone kaha , maine apne baap yani hazrat Zubair(rd) se arz kiya ke , Maine Kabhi Aap se Rasulallah(s.a.w) ki Ahadees nahi suni . Jaisa ke fula fula bayan karte hai , Kaha , Mai kabhi Aap se alag thalag nahi raha lekin maine Aap (s.a.w) ko ye Farmate suna hai ke " Jo shakhs muj par jhooth bandhe ga vo apna thikana Jahannam mai banale ."
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 108
Hazrat Abdul Aziz nakal karte hai ke Hazrat Anas (rd) Farmaya karte the ke
Muje bahot si hadeesain bayan karne se ye baat rokti hai ke nabi-e-kareem (s.a.w) ne Farmaya , " Jo Shakhs Muj par jaan bujh kar jhooth bandhe to vo apna thikana Jahannam mai banale ."
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 109
Hazrat Salma bin Akhua (rd) se Rivayat hai ke vo kehte hai ke maine Rasulallah (s.a.w) ko ye farmate hue suna ke ,
" Jo Shakhs mere naam se vo baat bayan kare jo maine nahi kahi to vo apna thikana Jahannam mai banale . "
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 110
Hazrat Abu Huraira (rd) se Rivayat hai ke Rasulallah (s.a.w) ne Farmaya ,
" (Apni Aulad) ka mere naam ke upar naam rakho . magar meri kunniyat ikhtiyar na karo , Aur jis shakhs ne muje khvab mai dekha to bila shuba usne muje dekha , Kyunke Shaytan meri surat mai nahi aa sakta aur jo shakhs muj par jaan bujh kar jhooth bole vo dozakh mai apna thikana talash kare . "