top of page

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 101

Hazrat Abu Saeed Khudri (rd) se Rivayat hai ke

Auraton ne Rasulallah (s.a.w) se Kaha ke ( Aap s.a.w se Fayda uthane mai) mard ham se aage bad gae hai , Is liye Aap apni taraf se hamare liye (bhi) koi din khas farma de. To Aap (s.a.w) ne in se ek din ka Va'z Farma liya . Us din Aap (s.a.w) ne Aurato se mulakat ki aur unhe Va'z farmaya aur ( munasib) ahkam sunae , Jo kuchh Aap (s.a.w) ne unse farmaya tha usme ye baat bhi thi ke , 

"Jo koi aurat tum mai se (Apne) teen (ladke) aage bhej de gi to vo us ke liye dozakh se panah ban jaaenge . "

Is par ek aurat ne kaha , " Agar do (bache bhej de) " 

Aap (s.a.w) ne Farmaya , " Aur do ( ka bhi ye hukm hai).

 

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 102

Hazrat Abu Saeed Khudri (rd) yahi hadees rivayat karte hai aur dusari sanad se Abdur rehman Al-Asbani kehte hai ke maine Abu Hazim se suna vo Abu Huraira (rd) se Nakl karte hai ke Unhone Farmaya ke , 

"Ese Bachche jo abhi bulugat ko na pahonche ho ."

 

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 103

Ibne Abi malakiyya ne Bataya ke Rasulallah(s.a.w) ki biwi Hazrat Aayesha (rd) jab koi esi baat sunti jis ko samaj na paati to dobaara us ko maalum karti take samaj le .

Chunanche (Ek martaba) Nabi-e-Kareem (s.a.w) ne Farmaya ke " Jis se Hisab liya gaya use azab kiya jaaega ."

Hazrat Aayesha (rd) farmati hai ke (Ye sun kar) maine kaha ke " Kya Allah ne ye nahi farmaya ke an-kareeb is se aasan hisab liya jaaega ?"

Rasulallah (s.a.w) ne Farmaya ke ye Sirf (Allah ke darbar mai) peshi ka zikar hai , lekin jis ke hisab mai janch padtal ki gaee (samjo) vo garat ho gaya . "

 

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 104

Abu Sharah se Rivayat hai ke Unhone Amroo bi saeed (Vali-e-Madinah) se jab vo makka mai (Ibne zubair se ladne ke liye) lashkar bhej rahe the kaha ke " Ae Ameer ! Muje Aap Ijazat de to mai Vo Hadees Aap se bayan karu , Jo Rasulallah (s.a.w) ne Fatah makka ke dusre din Irshad farmaee thi , Is Hadees ko mere dono kano ne suna mere dil ne ise yaad rakha hai aur jab Rasulallah (s.a.w) ye Hadees farma rahe the to meri ankhen Aap (s.a.w) ko dekh rahi thi . Aap (s.a.w) ne Pehle Allah ki Hamd v Sana bayan ki , Fir Farmaya , 

 

" Makka ko Allah ne haram kiya hai , Aadamiyo ne Haram nahi kiya . To (Sun lo) ke kisi shakhs ke liye jo Allah par aur Yaum-e-Akhirat par Imaan rakhta ho jaeez nahi hai ke makka mai khun raizi kare , Ya iska koi paid kaate, Fir agar koi Allah ke Rasool (ke ladne) ki vajeh se is ka javaz nikale to is se keh do Allah ne apne Rasool (s.a.w)ke liye ijazat di thi , Tumhare liye nahi di ,  Aur muje bhi din ke kuchh lamho ke liye ijazat mili thi . Aaj iski hurmat laut aaee, Jaisi kal thi . Aur hazir gaaib ko ye baat pahuncha de ."

 

(Ye Hadees sun ne ke baad ravi hadees) abu Sharih se Puchha gaya ke (Aapki ye baat sun kar) Amroo ne kya javab diya ?    Kaha yu ke " Ae (Abu Shareeh) ! Hadees ko mai tum se ziyada janta hu . Magar haram (makka) kisi khatakar ko ya khun karke aur fitna faila kar bhag aane vale ko panah nahi deta ."

 

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 105

Hazrat Abu Bakrah (rd) Se Rivayat hai , Ke Unhone Ek martaba Rasulallah (s.a.w) ka zikr kiya ke Aap (s.a.w) ne Farmaya ,

"Tumhare khun aur Tumhare Maal " , Muhammad (ek ravi) kehte hai ke mere khayal mai Aap (s.a.w) ne << V Aurada kum >> ka lafz bhi farmaya , yani " Aur Tumhari Aabrooein Tum par haram hai . jis Tarha Tumhare aaj ke din ki hurmat Tumhare is mahine mai . Sun lo ! ye khabar hazir , gaeeb ko pahunchade ."

Aur Muhammad(ravi hadees) kehte the ke Rasulallah (s.a.w) ne sach farmaya . Fir Dobara farmaya ke " Kya maine (Allah ka ye hukm) Tumhe nahi pahunchaya ?" 

 

© 2023 by Name of Template. Proudly created with Wix.com                                                                            Created And Maintained By Rizvan Khatri

bottom of page