
HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 96
Hazrat Abdullah ibne Umar (rd) se Rivayat hai ke Vo Kehte hai ,
Ek Safar mai Rasulallah (s.a.w) ham se pichhe reh gae . Fir Aap (s.a.w) hamare karib pahunche . To Asar ki namaz ka vakt ho chuka tha ya tang ho gaya tha , aur ham vuzu kar rahe the . Ham Apne pairo par pani ka hath ferne lage , To Aap (s.a.w) ne buland aavaz se farmaya ke " Aag ke azab se in ediyo ki ( jo khushk reh jae) Kharabi hai . Ye Do Martaba farmaya ya Teen martaba ."
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 97
Hazrat Abu Barda (rd) ne apne baap se nakal kiya ke ,
Rasulallah (s.a.w) ne Farmaya ke ,
" Teen (3) shakhs hai jinke liye dugna ajar hai ,
1) vo jo ahal-e-Kitaab se ho aur apne nabi aur muhammad (s.a.w) par imaan laae aur ,
2)Vo gulaam jo apne Aqa aur Allah (dono) ka hak ada kare , aur
3) Vo aadami jis ke paas koi londi ho , jis se shab basi karta hai , aur use tarbiyat de to achhi tarbiyat de , Ta'leem de to umda Ta'leem de , Fir use azad karke us se nikah karle , To us ke liye do gunah ajar hai .
Fir Aamir ne kaha ke ham ne ye hadees tumhe bagair ujrat ke suna di hai , (varna) is se kam hadees ke liye madeena tak ka safar kiya jaata hai.
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 98
Hazrat Ibne Abbas (rd) se Rivayat hai ke Vo farmate hai
Mai Rasulallah (s.a.w) par gavahi deta hu , ya Ata ne kaha ke mai Ibne Abbas (rd) par gavahi deta hu ke ,
Nabi-e-Kareem (s.a.w) (Ek martaba eid ke moke par mardo ki safo mai se ) nikle aur Aap (s.a.w) ke sath Bilal (rd) the . Aap (s.a.w) ko khayal hua ke Aurato ko (khutba achhi tarha) nahi sunai deta . To Aap (s.a.w) ne unhe alaeeda (alag se) nasihat farmaee aur sadke ka hukm diya (ye va'az sun kar) koi aurat baali (aur koi aurat anguthi0 dalne lagi , aur Bilal (rd) apne kapde ke daman mai ( ye chize) lene lage .
Is hadees ko Ismail bin aliya ne ayub se Rivayat kiya , Unhone ata'a se ke Ibne Abbas (rd) ne yu kaha ke mai nabi-e-Kareem (s.a.w) par gavahi deta hu (Isme shak nahi hai)
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 99
Hazrat Abu Huraira (rd) se Rivayat hai ke Unhone Arz kiya , " Ya Rasulallah (s.a.w) Kayamat ke din Aap (s.a.w) ki Shafa'at se sabse ziyada sa'adat kise milegi ? "
To Rasulallah (s.a.w) ne Farmaya , " Ae Abu Huraira (rd) ! Muje yakin tha ke tum se pehle koi is ke bare mai mujse daryaft nahi karega . Kyunke maine hadees ke mut'allik Tumhari hirs dekh li thi . Suno ! Kayamat mai sabse ziyada faiz-yaab meri shafa'at se vo hoga , Jo sachche jee se << Lailaha ILLALLAH >> kahega ."
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 100
Hazrat Amroo Bin A'as (rd) farmate hai , Maine Rasulallah (s.a.w) se Suna , Aap (s.a.w) ne Farmaya ,
" Allah ilm ko is Tarha nahi utha lega ke is ko bando se chhin le balke vo (Pukhta kar) Ulama ko maut de kar ilm ko utha lega . Hatta ke jab koi Aalim baki nahi rahega to log Jahilo ko sardar bana lenge , In se suvalat kiye jaaenge aur vo bagair ilm ke javab denge . Is liye khud bhi gumrah honge aur logo ko bhi gumrah karenge .