top of page

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 91

Hazrat Zaid Bin Khalid (rd) se Rivayat hai ke Ek Shakhs (Ameer Ya Bilal ) ne Rasulallah (s.a.w) se Padi Hui chiz ke bare mai daryaft kiya , Aap (s.a.w) ne Farmaya , " Is ki Bandhan pehchan le ," ya farmaya , " is ka bartan aur theli (pehchan le )" , " Fir ek saal tak is ki shanakht ( ka elan) karao Fir ( iska malik na mile to ) is se fayda hasil karo , agar iska malik aa jae to ise sonp do ."

Is ne puchha " Achha gum shuda oont(camel) ( ke bare mai) kya hukm hai ?"

Aap ko is kadar gussa aya ke rukhsar mubarak surkh ho gae , ya ravi ne ye kaha ke aap(s.a.w) ka chehra surkh ho gaya . Aap (s.a.w) ne Farmaya ,

" Tuje Oont(camel) se kya vasta ? is ke sath khud is ki mashk hai aur iske (pao ke) sam hai . Vo khud pani par pahunche ga aur khud pee lega aur khud darakht par chare ga .Lihaza use chhod diya jaae yaha tak ke us ka malik mil jaae . "

Us ne kaha ke , " Achha gum shuda bakri ke ( bare mai ) kya irshad hai ?"

Aap (s.a.w) ne farmaya , " Vo Teri hai ya tere bhai ki , varna bhediye ki (giza) hai ."

 

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 92

Hazrat Abu Musa (rd) se Rivayat hai ke Rasulallah (s.a.w) se kuchh esi baten daryaft ki gaee ke Aap (s.a.w) ko bura maloom hua aur jab ( is kism ke savalat ki) Aap (s.a.w) ko gussa aa gaya . Fir Aap (s.a.w) ne logo se Farmaya , 

" Mujse Jo chaho vo puchho ." 

To Ek Shakhs ne daryaft kiya ke " mera baap kaun hai ? "

Aap (s.a.w) ne Farmaya " Tera Baap Huzaifa  hai . " 

Fir Dusra aadami khada hua aur usne puchha ke " Ya Rasulallah (s.a.w) ! Mera Baap kaun hai ? "

Aap (s.a.w) ne Farmaya , " Tera Baap salim shabiya ka aazad karda gulam hai ."

Akhir Hazrat Umar (rd) ne Aap (s.a.w) ke chehre mubarak ka haal dekha to arz kiya , " Ya Rasulallah (s.a.w) ! Ham ( In Baton ke daryaft karne se jo aap ko na gavar ho) Aalh se Tauba karte hai ."

 

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 93

Hazrat Anas Bin Malik (rd) se Rivayat hai ke Vo Farmate hai , 

(Ek din) Rasulallah (s.a.w) ghar se nikle to Abdullah Bin Huzaifa (rd) puchhne lage , " Huzur Mera Baap Kaun hai ? " 

Aap (s.a.w) ne Farmaya , " Huzaifa " 

Fir Aap (s.a.w)ne bar bar farmaya ke " Muj se puchho "

To Hazrat Umar (rd) ne Do zabu ho kar arz kiya ke " Ham Allah ke Rab hone par , Islam ke deen hone , Aur Muhammad (s.a.w) ke nabi hone par razi hai . " Aur ye jumla teen martaba dohraya. ( Fir Ye sun kar ) Rasulallah (s.a.w) khamosh ho gae .

 

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 94

Hazrat Anas (rd) se Rivayat hai ke Vo Farmate hai  ke 

Jab Aap (s.a.w) salam karte to teen bar salam karte aur jab koi kalema irshad farmate to teen bar dohrate yaha tak ke khub samaj liya jaae .

 

Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 95

Hazrat Anas Bin Malik (rd) se Rivayat hai , Vo Farmate hai ,

Jab Aap (s.a.w) koi kalema irshad farmate to use teen bar lotate yaha tak ke khub samaj liya jaata . Aur Jab kuchh logo ke paas Aap (s.a.w) Tashrif late aur unhe salam karte to Teen baar salam karte .

 

© 2023 by Name of Template. Proudly created with Wix.com                                                                            Created And Maintained By Rizvan Khatri

bottom of page