
HADEES ONLINE
Read Hadees Online
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 116
Hazrat Abdullah (rd) ne Farmaya ke
Akhiri umar mai Rasulallah (s.a.w) ne hame Isha ki namaz padaee . Jab Aap (s.a.w) ne salam fera to khade ho gae aur farmaya ke Tumhari Aaj ki raat Vo hai ke is raat se so (100) baras ke akhir tak koi shakhs jo zamin par hai vo baki nahi rahega .
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 117
Hazrat Abdullah Ibne Abbas (rd) se Rivayat hai ke Vo farmate hai ke
Ek Raat mai ne Apne Khala Memuna (rd) - Zauja-e-Nabi-e-Kareem (s.a.w) - ke paas guzari aur nabi-e-Kareem (s.a.w) (us din) un ki raat mai unhi ke ghar the . Aap (s.a.w) ne Isha ki namaz masjid mai padi . Fir Ghar Tashreef laae aur Chaar (4) Raka'at Namaz pad kar Aap (s.a.w) so gae , Fir Uthe aur farmaya ke (abhi tak ye) ladka so raha hai , Ya isi jaisa lafz farmaya . Fir Aap (s.a.w) khade ho gae aur mai (bhi vuzu karke ) Aap (s.a.w) ki baaee janib khada ho gaya . To Aap (s.a.w) ne Muje daee janib kar liya . Tab Aap (s.a.w) ne Paanch(5) Rak'at padi , Fir Do (2) Rak'at padi Fir Aap (s.a.w) so gae . Yaha tak ke maine Aap (s.a.w) ke kharate ki avaz suni Fir Aap (s.a.w) khade ho kar namaz ke liye bahar tashreef le aaye .
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 118
Hazrat Abu Huraira (rd) se Rivayat hai , Vo Kehte hai ke
Log Kehte hai ke Abu Huraira (rd) bahot hadeesain bayan karte hai aur (Mai kehta hu) ke Quraan Mai do Aayatain na hoti to mai koi hadees bayan na karta .
Fir Ye Aayat padi (Jis ka Tarjuma hai) " Jo Log Allah ki nazil ki hui dalilo aur Aayaton ko chhupate hai " (Akhir aayat tak) .
(Vakiya ye hai ke) Hamare Muhajarin bhai to bazar ki kharid-o-Farokht mai lage rehte the, aur Ansar bhai apni jaydaton mai mashgul rehte , aur Abu Huraira Rasulallah (s.a.w) ke sath jee bhar kar rehta (Take Aap ki Rafakat mai shikam pari se bhi be fikri rahe) aur (Un majliso mai hazeer rehta jin mai dusre hazeer na hote aur vo (batein) mehfooz rakhta jo dusre mehfooz nahi rakh sakte the .
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 119
Hazrat Abu Huraira (rd) se Rivayat hai ke Vo Farmate hai ke
Mai ne Arz kiya , Ya Rasulallah (s.a.w) ! Mai Aap (s.a.w) se bahot batein sunta hu , Magar bhul jaata hu .
Aap (s.a.w) ne Farmaya , " Apni Chadar Failao ,"
Maine apni chadar failaee ,
Aap (s.a.w) ne Apne Dono hatho ki chullu banaee aur ( meri chadar mai dal dee) Farmaya ke " (chadar ko) Lapet lo ."
Maine Chadar ko (apne badan) se lapet liya , Fir (iske baad) mai koi chiz nahi bhula .
Hamse Ibrahim bin manzir ne bayan kiya , un se ibne abi yak ne isi tarha bayan kiya ki farmaya ke apne hath se ek chullu is chadar mai dal dee.
Sahih Bukhari > Bab 3 > Hadees No. 120
Hazrat Abu Huraira (rd) se Rivayat hai ke Vo Farmate hai ke
Maine Rasulallah (s.a.w) se (ilm ke) do bartan yaad kar liye hai ,
Ek ko maine faila diya hai aur dusra bartan agar mai failaoo to ye mera nar khara kaat diya jaae .
Imaam bukhari (rh) ne farmaya ke <<bal'oon>> se murad vo narkhara hai jis se khana utarta hai .