Lyrics Of Islamic Poetry
The Huge Collection of Islamic Lyrics, Hamd, Naat Lyrics, Mankabat,Nasheed and more
Kismat mein meri chain say jeena likh De
Dube na kabhi mera safeena likh De
Jannat bhi bahot Gavara hai magar mere liye
Aye Katib-e-Taqdeer Bas Madina Likh De
Tajdar e haram, Ho Nigah e karam
Hum ghareebo(n) kay din bhi sanwar jaye ge
Tajdar e haram, ho nigaah e karam
Hamiy e baikasan, kya kahe ga jaha
Aap kay dar say khali agar jaye ge
.
Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!
Chashm e rahmat ba khusha sooh e malandaz e nazar
Ae madani la kabi hashmi o muttalabi…
Tajdar e haram, ho nigaah e karam.
Tajdar e haram, ho nigaah e karam.
Ka tumse kahu ae Rab kay kunwar
Tum janat ho man ki battiyaan
Dar furqat toh ae ummi laqab
Kate na katath hai ab ratiyaan
Turi preet mein sudh bhud sab bisri
Kab tak ye rahe meri Be Sabri
Daah e ka pigan duzdi da nazar
Kabhi sun bhi toh lo humri batiyaan
Tajdar e haram, ho nigaah e karam.
Tajdar e haram, ho nigaah e karam.
Koi apna nahi gham kay mare hain hum
Aap kay dar pay faryaad laye hain hum
Ho Nigah e karam, nigah e karam
Ho Nigah e karam, warna chokhat pe hum
Aap ka naam lay lay kay marjayein gay
Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!
Maikasho aao aao madine chale
Chashm e sakiye kosar say pine chale
Yaad rakho agar, uth gayi ik nazar
Jitnay khali hain sab jaam bhar jayein gay.
Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!
Khof e toofan hai Bijliyoon ka hai dar
Sakht mushkil hai aaqa kidhar jayein hum
Ap hi gar na lein gay, hamari khabar
Hum museebat kay mare kidhar jayein gay
Tajdar e haram, hoo nigah e karam
Hum ghareebon kay din bhi sanwar jayein gay
Tajdar e haram, ho nigaah e karam
Tajdar e haram, nigah e karam!!
Tajdar e haram, karam karam!!
Tajdar e haram…
Tajdar-e-Haram Ho Nigah-e-Karam
Naat Khvan :: Owais Raza Qadry
Watch This Naat .......
Search naats by selecting words
Search naats by Author