top of page

Kyu aake ro raha hai Muhammad ke shehar me

Kyu ake ro raha hai Muhammad ke shehar me

Har dard ki dava hai Muhammad ke shehar me

 

Aao gunahgaro chalo sar ke bal chale

Toba ka dar khula hai Muhammad ke shehar me

 

Sadka luta raha hai khuda unke naam ka

Sona nikal raha hai Muhammad ke shehar me

 

Sabto juke hai khana-e-kaba ke samne 

Kaba juka hua hai Muhammad ke shehar me

 

Saya nahi hai gumbad-e-khazra ka aj bhi 

Zinda ye mojaza hai  Muhammad ke shehar me

 

Ae RAZ me yaha pe to mojud hu magar

Dil naat pad raha hai Mehammad ke shehar me

 

 

Search naats by selecting words

Search naats by Author

For More Naat Lyrics Log On To

http://naat-e-sarkar.com/

 

© 2023 by Name of Template. Proudly created with Wix.com                                                                                                         Created and Maintain by Rizvan Khatri

bottom of page